Balaghal ula be kamalehi
Kashafadu jabe jamalehi
Hasonat jameo o khisalehi
Sallu alehe wa aalehi
Jo Gale Lagaaey Buron Ko Bhi,
Woh Rasool Mera Rasool Hai
Koi Khaali Haath Gaya Nahin,
Yeh Mere Saaqi Ka Asool Hay
Tu Jo Chaahe Raazi Ho Mustafa,
Tu Jo Chaahe Tujh Ko Mile Khuda
Kisi Tute Dil Ko Talaash Kar,
Ke Woh Dil Khuda Ko Qabool Hay
Isey Jhuk Ke Chooma Hai Arsh Ne,
Hai Lagi Nabi Ke Yeh Paaon Se
Isey Daal Aankhon May Shauq Se,
Yeh Dare Rasool Ki Dhool Hay
Woh Nabi Jo Mera Bhala Kare,
Meri Bakhshison Ki Dua Kare
Mujhe Bhool Jaaey Woh Hashr May,
Mere Dushmanon Ki Yeh Bhool Hay
Yeh Niyazi Jaaei(N) Kahaa(N),
Shaha Ke Naam Leva Yeh Aap Ka
Yehi Kehna Jaake Tu Aey Saba,
Ke Woh Ghamzadaah Hai Malool Hay |