Kia khabar kia saza mujh ko milti
Efforts: Syed-Rizwan Rizvi



Kia khabar kia saza mujh ko milti
Meray aaqa ne izzat bacha li
Fard-e-isyan meri mujh se le kar
Kali kamli may apni chupa li

Woh ata par ata karnay walay
Aur ham bhi nahi talnay walay
Jaisay dewri hay waisay bhikari
Jaisa data hay waisay sawali

May gada hoon magar kis ke dar ka
Woh jo sultan-e-kaun-o-makaan hay
Yeh ghulami bari mustanad hay
Meri sar par hay taj-e-Bilali

Meri umr-e-rawan bas thahar ja
Ab safar ki zaroorat nahi hay
Un ke qadmon may meri jabeen hay
Aur hathon may rozay ki jaali

May Madinay se kia aa gaya hoon
Zindagi jaisay bujh si gaye hay
Ghar ke andar faza sooni sooni
Ghar ke bahar samaa khali khali

May faqat naam lewa hoon un ka
Un ki toseef may kia karoon ga
May na Iqbal Khusro na Saadi
May na Qudsi na Jaami na Haali