Sab se aula wa aala hamara Nabi
Efforts: Syed-Rizwan Rizvi

Sab se aula wa aala hamara Nabi 
Sab se baala wa waala hamara Nabi 

Apne Moula ka pyara hamara Nabi 
Dono aalam ka Dulha ha hamara Nabi 

Bazme Aakhir ka Shama faroza huwa 
Noore awwal ka jalwa hamara Nabi 

Buj gayi jis ke aage sabhi mashale
Shamma woh lekeh aaya hamara Nabi 

Jis ke talwon ka dhowan he aabe Hayaat 
Hai woh jaane Maseeha hamara Nabi 

Khalq se Awliya Awliya se Rusul 
Aur Rasoolon se aala hamara Nabi 

Jaise sab ka Khuda ek he waise hi
In ka un ka thumhara hamara Nabi 

Kawn deta he dene ko muh chahiye
Dene waala he sacha hamara Nabi 

Kya khabar kitne taare khile chhup gaye 
Par na doobe na dooba hamara Nabi 

Saare ooncho meh ooncha samajhye jise 
Hai oos oonche se ooncha hamara Nabi 

Ghum zadoh ko Raza muzda dije ke he 
Be kason ka sahara hamara Nabi