Jitna dia Sarkar ne mujh ko
Itni mera auqat nahi hay
Yeh to karam hay un ka warna
Mujh may to aisi baat nahi hay
Zikr-e-Nabi(sawaw) may jo din guzray
Woh din sab se behtar hay
Yad-e-Nabi may raat jo guzray
Use se behtar raat nahi
Munkir hay jo un ki ata ka
Woh yeh baat bataye to
Kaun hay woh jis ke daman may
Us dar ki khairat nahi
Ishq-e-Shah-e-Batha se pehlay
Muflis-o-khasta haal tha may
Naam-e-Muhammad(sawaw) ke may qurban
Ab woh meray halat nahi
Tu bhi waheen par ja ke jahan par
Sab ki bigri banti hay
Ik teri taqdeer banana
Un ke liye kuch baat nahi
Jo hain meri jaan-o-imaan
Kia may un ki nazar karoon
Paas meray ashkoon ke ilawa
Aur koi soghat nahi
Sarwar-e-aalam ke rozay pe
Mujh ko lipat kar ronay do
Bas may nahi hay josh-e-muhabbat
Qaboo may jazbat nahi
Ghor to kar sarkar ki tujh par
Kaisi khas inayat hay
Kausar to hay un ka sana khawan
Yeh mamooli baat nahi
|