Jashn-e-Aamad-e-Rasool(sawaw) - Allah hi Allah
Efforts: Syed-Rizwan Rizvi



Jashne amade Rasoole Allah hi Allah (x2)
Bibi Aamina ke phool Allah hi Allah (x2)

Jab kay Sarkar tashreef lane lage
Huro gilma bhi khusiyan manane lage
Har taraf noor ki roshni chaa gayi
Mustafa kiya milay zindagi mil gayi
Aie Halima teri goad mein aa gaye
Dono alam ke Rasool, Allah hee Allah

Chehra e Mustafa(sawaw) jab dikhaya gaya
Jhuk gaye taray aur chand sharma gaya
Aamina dekhar muskranay lageen
Hawwaa Mariam bhi khushiyaan mananay lagein
Aamina bibi sab say yeh kehnay lagein
Dua ho gayi qabool, Allah he Allah

Koi chehray ki tareef kernay laga
Koi zulfoun key tarif kernay laga

Shadiyaanay kushi kay bajaye gaye
Shaad kay naghmay sab ko sunaye gaye
Har taraf shor Sale alla ho gaya
Aaj paida Habib e Khuda ho gaya
Phir to Jibriel nay bhi yeh elaan kiya
Yeh Khuda kay hein Rasool, Allah hi Allah

Jin ka saaya zameen par na paya gaya
Noor se noor dekho juda na hua
Ham ko Aabid Nabi par barra naz hay
Kia barra meray aaqa ka andaz hay
Jist ne rukh pe mali woh shifa paa gaya
Shehr e Taiba teri dhool, Allah hi Allah

Jashn-e-Aamade Rasool Allah he Allah (x2)
Bibi Amna kay phool, Allah he Allah (x2)