Mustafa(sawaw) jan-e-rehmat pe lakhon salam
Efforts: Syed-Rizwan Rizvi



Mustafa  Jaane   Rehmat Pe Laakho Salaam
Sham-Aey Bazme Hidaayat Pe Laakho Salaam

Jis suhani gharri pe chamka Taiba ka chand
Us dil afroz sa-at pe lakhon salam

Jis Ke Aage Sare Sarwaraa Kham Rahe
Us Sare Taaje Rifat Pe Laakho Salaam

Patli, Patli Gule Quds Ki Pattiyaa
Un Labo Ki Nazaakat Pe Laakho Salaam

Jis Ki Mimbar Bani, Gardane Auliya
Us Qadam Ki Karaamat Pe Laakho Salaam

Woh Dahan Jis Ki Har Baat, Wahi-Aey Khuda
Chashmaaey Ilmo Hikmat Pe Laakho Salaam

Jis Ki Taski Se Rote Huey Hans Pare
Us Tabassum Ki Aadat Pe Laakho Salaam

Noor Ke Chasme Lehraaei, Darya Bahei
Ungliyo Ki Karaamat Pe Laakho Salaam

Kul Jahaa Milk Aur Jaw Ki Roti Ghiza
Us Shikam Ki Qanaat Pe Laakho Salaam

Khaai Quraney Khaake Guzar Ki Qasam
Us Kafe Paa Ki Hurmat Pe Laakho Salaam

Allah, Allah, Woh Bachpane Ki Phaban
Us Khuda Bhaati Soorat Pe Laakho Salaam

Woh Daso Jin Ko Jannat Ka Muzda Mila
Us Mubaarak Jamaat Pe Laakho Salaam

Jin Ke Dushman Pe Laanat Hai Allah Ki
Un Sab Aihl-E Mohabbat Pe Laakho Salaam

Mere Ustaad, Maa-Baap, Aur Bhaai Bahen
Aihl-E Waldo Asirat Pe Laakho Salaam

Khalq Ke Daad Ras, Sab Ke Fariyaad Ras
Kahfe Roze Musibat Pe Laakho Salaam

Sham-Aey Bazme "Dana Hu" May Gham Kum Ana
Sharhe Matne Huyyat Pe Laakho Salaam

Jis Se Khaarey KooWey Shiraaey Jaa Bane
Us Zulaaley Halaawat Pe Laakho Salaam

Jis Suhaani Gharee Chamka Taibah Ka Chaand
Oos Dil Afroz Saaat Pe Laakho Salaam

Kaash Mehshar Mey Jab Unki Aamad Ho Aur
Beyjhey Sab unki Shauqat Pe Laakho Salaam

Mujh Sey Khidmat Key Qudsi Kahey Haan RAZA!
Mustafa Jaaney Rehmat Pe Lakhon Salaam