| Wo Kaisa sama ho ga wo kaisi gharri hogi Efforts: Syed-Rizwan Rizvi |
Wo Kaisa sama ho ga wo kaisi gharri hogi Jab pehli nazar unkay rozay pay parri hogi Yay kucha e jana he aahista qadam rakhna Har ja pay malaaik ki baaraat kharri hogi Kya saamnay ja kay ham haal apna suna-ayn gay Sarkar ka dar ho ga ashkon ki jharri hogi Kuchh haathh na aa-ay ga aqa say juda reh kar Sarkar ki nisbat say toqeer barri hogi Wo sheesha-ay dil gham say mela na kabhi hoga Tasweer madinay ki jiss dil mayn jarri hogi Ho ja-ay jo wabasta sarkar kay qadmon say Har cheez zamaanay ki qadmon mayn parri hogi Chaara na koii karna ik naat suna day-na Nacheez zahoori ki jab saans arri hogi |